Friday, 24 April 2015

Manmarziyaan


Chalakte paani ki tarah chalakti hai manmarziyan
Pinjare mein qaid panchi chuna chahe uchayiyan
Saagar mein ek boond si lagti hai har manmarziyan
Suraj ki kirne padne par tej se chamakti hai sab arziyan..

Saason ki dhara mein roz ghulti nayi manmarziyan
Mann kare mannthan, jaane dil ki gehraiyan
Labon ki khamoshi tod bol uthi kuch manmarziyan
Gam ka rona roz ka hai aao kare aaj kuch mastiyan..

Badrang si chaddar odh ek din mili thi manmarziyan
Chehre pe maayusi chod gaya tha harjaiyan
Matmaile aks ko laade chal rahi thi manmaniyan
Badra barsi dhul gayi saari unchahiyan..

Banjar mann pe khili ek baar phir se manmarziyan
Na thag le is baar phir se ruswaaiyan
Rangon ki bahaar mein lehrati manmarziyaan
Aandhi ko apni aukaat dikhlaati kuch untooti pattiyan……….


No comments:

Post a Comment